maiñ sochūñ kaise ye lahrā ke itne paas aatī haiñ
maiñ sochūñ ye namī itnī kahāñ se saath laatī haiñ
sunahrī sub.heñ hoñ pahlū meñ yā phir kattha.ī shāmeñ
usī shiddat se donoñ ko gale apne lagātī haiñ
fazā meñ tairtī hai vaqt kī tasvīr jo korī
ufaq se rang lā kar us ke dāman ko sajātī haiñ
samo leñ yuuñ to saarī anjuman apnī panāhoñ meñ
na jaane sāhiloñ ko chhū ke kyuuñ sharmā sī jaatī haiñ
umaḌ kar chūmtī haiñ bādaloñ kā ruḳh kabhī yuuñ to
kabhī phir chāñd ko āġhosh meñ apne bulātī haiñ
musalsal jāgnā sadiyoñ se jaise in kī fitrat ho
magar ye kashtiyoñ ko apnī chhātī par sulātī haiñ
balā kā dard hai siine meñ in ke jazb muddat se
magar jab dekhiye āñkhoñ hī āñkhoñ muskurātī haiñ
ye sāñsoñ kī tarah haiñ zindagī kā silsila thāme
kabhī suniye agar ye dāstāñ apnī sunātī haiñ
main sochun kaise ye lahra ke itne pas aati hain
main sochun ye nami itni kahan se sath lati hain
sunahri subhen hon pahlu mein ya phir katthai shamen
usi shiddat se donon ko gale apne lagati hain
faza mein tairti hai waqt ki taswir jo kori
ufaq se rang la kar us ke daman ko sajati hain
samo len yun to sari anjuman apni panahon mein
na jaane sahilon ko chhu ke kyun sharma si jati hain
umaD kar chumti hain baadalon ka ruKH kabhi yun to
kabhi phir chand ko aaghosh mein apne bulati hain
musalsal jagna sadiyon se jaise in ki fitrat ho
magar ye kashtiyon ko apni chhati par sulati hain
bala ka dard hai sine mein in ke jazb muddat se
magar jab dekhiye aankhon hi aankhon muskuraati hain
ye sanson ki tarah hain zindagi ka silsila thame
kabhi suniye agar ye dastan apni sunati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.