lahu bolta hai 3
maiñ sochtā huuñ
ki mere tan kā ye nichlā hissa
jo ma.asiyat ke muhīb ġhāroñ meñ gir gayā thā
jise koī dev ain ahd-e-shabāb meñ
apne ġhaar kī tīrgī meñ mahbūs kar gayā thā
jise gunah kā ghanā añdherā
ḳhud apne ḳhuuñ meñ umaDtī ātish kā raqs
gardish kā shor-o-ġhauġhā
vo ishq-e-pechāñ kī bel jise gaThe hue ḳhvāb
qahva rañgat gudāz ko lahū ke
lams abreshmī mulā.em bhare bhare se gulābī hoñToñ kā
lazzateñ lahr lahr ban kar ubhartī jhāgoñ kī
andhī khā.iyoñ meñ Duub jaane kī ḳhvāhisheñ
aks jhālroñ ke
havas kī bārish ke garm chhīñTe
vasīle jismoñ ke qurb ke imbisāt tan ke
bahut satāte the achchhe lagte the
main sochta hun
ki mere tan ka ye nichla hissa
jo masiyat ke muhib ghaaron mein gir gaya tha
jise koi dew ain ahd-e-shabab mein
apne ghaar ki tirgi mein mahbus kar gaya tha
jise gunah ka ghana andhera
KHud apne KHun mein umaDti aatish ka raqs
gardish ka shor-o-ghaugha
wo ishq-e-pechan ki bel jise gaThe hue KHwab
qahwa rangat gudaz ko lahu ke
lams abreshmi mulaem bhare bhare se gulabi honTon ka
lazzaten lahr lahr ban kar ubharti jhagon ki
andhi khaiyon mein Dub jaane ki KHwahishen
aks jhaalron ke
hawas ki barish ke garm chhinTe
wasile jismon ke qurb ke imbisat tan ke
bahut satate the achchhe lagte the
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 515)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.