lahu lahu aankhen
milī na maidān kī ijāzat
tabhī to qāsim yaad aayā
ki ek ta.avīz mere baabā ne ḳhud mire sāmne likhā thā
jo mere baazū pe ab talak bhī bañdhā huā hai
use ba-sad ishtiyāq kholā
to us meñ likkhā huā yahī thā
ai laal ai merī jaan qāsim
husain se jab nigāh phere ye kal zamāna
chahār jānib se hamla-var hoñ musībateñ jab
rah-e-vafā meñ jhijak na jaanā
husain par jaan dene vāloñ meñ sab se aage qadam baḌhānā
mirī taraf se chachā ke qadmoñ meñ jaañ luTānā
aur apne ajdād kī shahādat kā qad baḌhānā
husain ta.avīz paḌh rahe haiñ
aur un kī āñkheñ lahū lahū haiñ
mili na maidan ki ijazat
tabhi to qasim yaad aaya
ki ek tawiz mere baba ne KHud mere samne likha tha
jo mere bazu pe ab talak bhi bandha hua hai
use ba-sad ishtiyaq khola
to us mein likkha hua yahi tha
ai lal ai meri jaan qasim
husain se jab nigah phere ye kal zamana
chahaar jaanib se hamla-war hon musibaten jab
rah-e-wafa mein jhijak na jaana
husain par jaan dene walon mein sab se aage qadam baDhana
meri taraf se chacha ke qadmon mein jaan luTana
aur apne ajdad ki shahadat ka qad baDhana
husain tawiz paDh rahe hain
aur un ki aankhen lahu lahu hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.