lahu ka zaiqa
sab jhuuT bolte haiñ
maiñ jab maañ ke peT meñ thā tab bhī jhuuT nahīñ boltā thā
maiñ ne maañ ke peT meñ
taaza taaza garm surḳh ḳhuun piyā thā
paidā.ish ke ba.ad safed gāḌhā ThanDā ḳhuun mujhe milā
jab se maiñ musalsal ḳhuun pī rahā huuñ
maiñ ne bachpan se laḌakpan tak
laḌakpan se javānī tak
bār-hā is ḳhuun kā zā.iqa chakhā hai
maiñ is ke baġhair zinda nahīñ rah saktā
is ke marne se
merā tamām jism āshnā hai
aksar jab mere jism par koī zaḳhm lagtā hai to
be-sāḳhta zabān is taraf lapaktī hai
aur mujhe
vahī zā.iqa yaad aane lagtā hai
jo maiñ ne pahlī baar
maañ ke peT meñ chakhā thā
sab jhuT bolte hain
main jab man ke peT mein tha tab bhi jhuT nahin bolta tha
main ne man ke peT mein
taza taza garm surKH KHun piya tha
paidaish ke baad safed gaDha ThanDa KHun mujhe mila
jab se main musalsal KHun pi raha hun
main ne bachpan se laDakpan tak
laDakpan se jawani tak
bar-ha is KHun ka zaiqa chakha hai
main is ke baghair zinda nahin rah sakta
is ke marne se
mera tamam jism aashna hai
aksar jab mere jism par koi zaKHm lagta hai to
be-saKHta zaban is taraf lapakti hai
aur mujhe
wahi zaiqa yaad aane lagta hai
jo main ne pahli bar
man ke peT mein chakha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.