lahu-rang sayyal raushan bhanwar
chaTānoñ ke andar
bahut saarī partoñ ke qilaoñ
fasīloñ kī tasḳhīr kartī
mirī aañkh jab aur aage baḌhī to
vahāñ aag ke ik garajte samundar se lag kar
bahut hī munavvar
bahut ḳhūb-sūrat sī duniyā khaḌī thī
hazāroñ chamakte hue rañg ke
an-ginat pattharoñ ne
mirī aañkh kā ḳhair-maqdam kiyā
dhueñ aur kohre kī parchhā.iyoñ se pare
ātish-e-sañg-e-be-tāb
ik lams-e-avval kī ḳhātir
lahū-rañg sayyāl raushan bhañvar
nāchtī sā.iqa
teḌhī-meḌhī sī bahtī huī
sīm-tan ik nadī
āb-e-zar meñ nahāte hue
sabz niile gulābī sitāre
mirī aañkh ke muntazir the
mirī aañkh saare nazāroñ kī tahrīr paḌhne lagī
phir na jaane huā kyā
kahāñ kho ga.ī
vahāñ se mirī aañkh vāpas nahīñ aa sakī
chaTanon ke andar
bahut sari parton ke qilaon
fasilon ki tasKHir karti
meri aankh jab aur aage baDhi to
wahan aag ke ek garajte samundar se lag kar
bahut hi munawwar
bahut KHub-surat si duniya khaDi thi
hazaron chamakte hue rang ke
an-ginat pattharon ne
meri aankh ka KHair-maqdam kiya
dhuen aur kohre ki parchhaiyon se pare
aatish-e-sang-e-be-tab
ek lams-e-awwal ki KHatir
lahu-rang sayyal raushan bhanwar
nachti saiqa
teDhi-meDhi si bahti hui
sim-tan ek nadi
aab-e-zar mein nahate hue
sabz nile gulabi sitare
meri aankh ke muntazir the
meri aankh sare nazaron ki tahrir paDhne lagi
phir na jaane hua kya
kahan kho gai
wahan se meri aankh wapas nahin aa saki
- Book : Hukm Nama (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.