lahu se namak Tapakta hai
lahū se mere Tapke hai namak āhista āhista
ajab ye raushnī hai jis se har jānib añdherā hai
garm rātoñ ke āñgan se pare merā baserā hai
maiñ apne ḳhālī kamroñ ke dar-o-dīvār se tar huuñ
maiñ apne ḳhvāb meñ rakkhā huā ik ḳhālī bistar huuñ
lahū se mere Tapke hai namak āhista āhista
mujhe hai ilm maiñ huuñ jism ik be-kār saa.e kā
mire alfāz dīvāroñ se lag ke TuuT jaate haiñ
kabhī lamhe ham apne pīchhe chhūT jaate haiñ
lahū se mere Tapke hai namak āhista āhista
mere inkār se hai dard meñ farāvānī
ki jaise hoñ ka.ī sūraj magar phir bhī añdherā ho
tumhārī mehrbānī ye batāo kaun ho tum kyoñ
tumhāre ghar se thoḌā duur haivānoñ kā Derā hai
lahū se mere Tapke hai namak āhista āhista
kabhī ik ret par chaltī huī kashtī kabhī ham haiñ
jo apne bāzuoñ par bāñdh kar patvār chalte haiñ
falak hai yā ki apne sar ke andar phailtā sā kuchh
kabhī is paar chalte haiñ kabhī us paar chalte haiñ
lahū se mere Tapke hai namak āhista āhista
sahar se shaam tak phir sub.h tak āhista āhista
lahu se mere Tapke hai namak aahista aahista
ajab ye raushni hai jis se har jaanib andhera hai
garm raaton ke aangan se pare mera basera hai
main apne KHali kamron ke dar-o-diwar se tar hun
main apne KHwab mein rakkha hua ek KHali bistar hun
lahu se mere Tapke hai namak aahista aahista
mujhe hai ilm main hun jism ek be-kar sae ka
mere alfaz diwaron se lag ke TuT jate hain
kabhi lamhe hum apne pichhe chhuT jate hain
lahu se mere Tapke hai namak aahista aahista
mere inkar se hai dard mein farawani
ki jaise hon kai suraj magar phir bhi andhera ho
tumhaari mehrbani ye batao kaun ho tum kyon
tumhaare ghar se thoDa dur haiwanon ka Dera hai
lahu se mere Tapke hai namak aahista aahista
kabhi ek ret par chalti hui kashti kabhi hum hain
jo apne bazuon par bandh kar patwar chalte hain
falak hai ya ki apne sar ke andar phailta sa kuchh
kabhi is par chalte hain kabhi us par chalte hain
lahu se mere Tapke hai namak aahista aahista
sahar se sham tak phir subh tak aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.