laKHt-e-jigar
mohabbat ko tum laakh pheñk aao gahre kueñ meñ
magar ek āvāz pīchhā karegī
kabhī chāñdnī raat kā giit ban kar
kabhī ghup añdhere kī paglī hañsī ban ke
pīchhā karegī
magar ek āvāz pīchhā karegī
vo āvāz
nā-ḳhvāsta tiflak-e-be-pidar
ek din
sūliyoñ ke sahāre
banī-nau-e-insāñ kī haadī banī
phir ḳhudā ban ga.ī
koī maañ
ka.ī saal pahle
zamāne ke Dar se
sar-e-rah-guzar
apnā laḳht-e-jigar chhoḌ aa.ī
vo nā-ḳhvāsta tiflak-e-be-pidar
ek din
sūliyoñ ke sahāre
banī-nau-e-insāñ kā haadī banā
phir ḳhudā ban gayā
mohabbat ko tum lakh phenk aao gahre kuen mein
magar ek aawaz pichha karegi
kabhi chandni raat ka git ban kar
kabhi ghup andhere ki pagli hansi ban ke
pichha karegi
magar ek aawaz pichha karegi
wo aawaz
na-KHwasta tiflak-e-be-pidar
ek din
suliyon ke sahaare
bani-nau-e-insan ki hadi bani
phir KHuda ban gai
koi man
kai sal pahle
zamane ke Dar se
sar-e-rah-guzar
apna laKHt-e-jigar chhoD aai
wo na-KHwasta tiflak-e-be-pidar
ek din
suliyon ke sahaare
bani-nau-e-insan ka hadi bana
phir KHuda ban gaya
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 29)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005 )
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.