laKHt laKHt
ye TukḌe ye reze ye zarre ye qatre ye reshe
ye merī samajh kī nasīnī ke pādān
inheñ joḌtā huuñ to koī badan
na koī surāhī na sahrā na dariyā na koī shajar kuchh bhī bantā nahīñ
lakīroñ se ḳhāke ubharte haiñ lekin
ye koshish miTā.ī huī sūrateñ phir banātī nahīñ
ki vo jaan jis se ye saarā jahān
harārat se harkat se māmūr thā ab kahāñ hai
merī aql ne sard aahan ke be-jān TukḌoñ ko ālāt kī shakl meñ Dhaal kar
mire toḌne joḌne ke amal meñ lagāyā
jalā kar har ik jism ko phūñk kar jaan ko raakh se apnī zambīl bhar lī
to is raakh se kaise vo sūrateñ phir janam leñ
jinheñ vaqt ne aur maiñ ne miTāyā
ye TukDe ye reze ye zarre ye qatre ye reshe
ye meri samajh ki nasini ke padan
inhen joDta hun to koi badan
na koi surahi na sahra na dariya na koi shajar kuchh bhi banta nahin
lakiron se KHake ubharte hain lekin
ye koshish miTai hui suraten phir banati nahin
ki wo jaan jis se ye sara jahan
hararat se harkat se mamur tha ab kahan hai
meri aql ne sard aahan ke be-jaan TukDon ko aalat ki shakl mein Dhaal kar
mere toDne joDne ke amal mein lagaya
jala kar har ek jism ko phunk kar jaan ko rakh se apni zambil bhar li
to is rakh se kaise wo suraten phir janam len
jinhen waqt ne aur main ne miTaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.