lakiren
duniyā ke bakheḌoñ se ulajhte hue kal achānak
merī nazar paḌī to dekhā ki
zindagī kī hathelī se saarī lakīreñ ġhā.eb ho ga.ī haiñ
sivā.e ek lakīr ke
na chhoTī lakīreñ na baḌī
na maddham na gahrī
na mudavvar aur na mustaqīm
na donoñ hatheliyoñ ko joḌ kar bantā koī chāñd
na un lakīroñ kī oT se jhāñktā kisī sohnī kā chehra
aur na hī un meñ ulajhtā kisī mahīvāl kā dil
ye kaisī hathelī hai
bilkul sapāT
be-rang
titliyoñ kā koī rang nahīñ in pe
aur yak-laḳht
maiñ ne dekhā ki hathelī ke sahrā meñ khaḌī 'umr kī tanhā lakīr bhī miTtī jā rahī thī
aur zindagī
zindagī ke udaas chehre pe maiñ ne amaltās kī zardī utarte dekhī
nā-karda jurm ke bojh tale sar jhukā.e nazreñ churātī huī
dabe paañv khisakne kī tayyārī kartī huī
us kī āñkhoñ kī chamak lamha-ba-lamha phīkī paḌtī jā rahī thī
aur tab maiñ ne saarī quvvateñ jam' kar ke black marker uThāyā
aur zindagī kī ḳhālī hathelī pe aaḌī tirchhī be-Dhangī lekin bā-ma.anī aur pakkī lakīreñ khīñchne kī Thaan lī
duniya ke bakheDon se ulajhte hue kal achanak
meri nazar paDi to dekha ki
zindagi ki hatheli se sari lakiren ghaeb ho gai hain
siwae ek lakir ke
na chhoTi lakiren na baDi
na maddham na gahri
na mudawwar aur na mustaqim
na donon hatheliyon ko joD kar banta koi chand
na un lakiron ki oT se jhankta kisi sohni ka chehra
aur na hi un mein ulajhta kisi mahiwal ka dil
ye kaisi hatheli hai
bilkul sapaT
be-rang
titliyon ka koi rang nahin in pe
aur yak-laKHt
main ne dekha ki hatheli ke sahra mein khaDi 'umr ki tanha lakir bhi miTti ja rahi thi
aur zindagi
zindagi ke udas chehre pe main ne amaltas ki zardi utarte dekhi
na-karda jurm ke bojh tale sar jhukae nazren churaati hui
dabe panw khisakne ki tayyari karti hui
us ki aankhon ki chamak lamha-ba-lamha phiki paDti ja rahi thi
aur tab main ne sari quwwaten jam' kar ke black marker uThaya
aur zindagi ki KHali hatheli pe aaDi tirchhi be-Dhangi lekin ba-mani aur pakki lakiren khinchne ki Than li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.