lakiren
hathelī kī lakīroñ meñ
muqaddar qaid hai
umr-e-ravāñ ke beshtar lamhe
na jaane kaun sī āsūdgī kī justujū meñ
kitne hī dariyāoñ ko ik rau meñ pīchhe chhoḌ aa.e haiñ
magar sāhil pe aa kar
mere pyāse hoñT ab tak phaḌ.phaḌāte haiñ
mirī āñkhoñ meñ bhī nākāmiyāñ hī raqs kartī haiñ
magar
ehsās ke tārīk āñgan meñ
umīdoñ kī kiran sargoshiyāñ kartī
sunā.ī jab bhī detī haiñ
to phir se tāza-dam ho kar
muqaddar se
rihā.ī kī
jasārat karne lagtā huuñ
hatheli ki lakiron mein
muqaddar qaid hai
umr-e-rawan ke beshtar lamhe
na jaane kaun si aasudgi ki justuju mein
kitne hi dariyaon ko ek rau mein pichhe chhoD aae hain
magar sahil pe aa kar
mere pyase honT ab tak phaDphaDate hain
meri aankhon mein bhi nakaamiyan hi raqs karti hain
magar
ehsas ke tarik aangan mein
umidon ki kiran sargoshiyan karti
sunai jab bhi deti hain
to phir se taza-dam ho kar
muqaddar se
rihai ki
jasarat karne lagta hun
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 29)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.