lamha
abhī ik shāḳh se
hañste hue
ik phuul kī ḳhushbū
jo TuuTī hai
usī ne mausamoñ ko
raag kī ta.alīm baḳhshī hai
usī ne dard ko
tāsīr meñ bahnā sikhāyā hai
magar ik ḳhvāb jo
resham ke dhāgoñ meñ
kahīñ uljhā huā sā hai
use maiñ jāgte sote
suroñ meñ
gungunātā huuñ
use maiñ raushnī ke
aa.ine meñ
dekh letā huuñ
musalsal raat ke lamhe
mirī palkoñ pe
har-dam ḳhvāb bunte haiñ
mujhe shab-bhar jagāte haiñ
mire maazī ke kuchh dhāge
abhī tak mujh se uljhe haiñ
mirī tanhā.iyoñ meñ
guuñj hai ab tak
kisī ma.asūm bātin kī
kisī rangīn titlī kī
kisī jādū-bayāñ kī
aur kisī shaffāf gulshan kī
abhi ek shaKH se
hanste hue
ek phul ki KHushbu
jo TuTi hai
usi ne mausamon ko
rag ki talim baKHshi hai
usi ne dard ko
tasir mein bahna sikhaya hai
magar ek KHwab jo
resham ke dhagon mein
kahin uljha hua sa hai
use main jagte sote
suron mein
gungunata hun
use main raushni ke
aaine mein
dekh leta hun
musalsal raat ke lamhe
meri palkon pe
har-dam KHwab bunte hain
mujhe shab-bhar jagate hain
mere mazi ke kuchh dhage
abhi tak mujh se uljhe hain
meri tanhaiyon mein
gunj hai ab tak
kisi masum baatin ki
kisi rangin titli ki
kisi jadu-bayan ki
aur kisi shaffaf gulshan ki
- Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 100)
- Author : Vishal Khullar
- Publication : Insha Publications (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.