lamha-e-dil-kash
saath ḳhushbū ke raushnī simTī
chaudhvīñ shab kī chāñdnī simTī
aks merā hai terī nazroñ meñ
ek nuqte pe zindagī simTī
tū ne bāñhoñ meñ bhar liyā aise
biich shāḳhoñ ke ik kalī simTī
ik karāmat se dil kī dhaḌkan meñ
ik 'sabā'-ḳhez dilkashī simTī
sath KHushbu ke raushni simTi
chaudhwin shab ki chandni simTi
aks mera hai teri nazron mein
ek nuqte pe zindagi simTi
tu ne banhon mein bhar liya aise
bich shaKHon ke ek kali simTi
ek karamat se dil ki dhaDkan mein
ek 'saba'-KHez dilkashi simTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.