lamha-e-maujud se mukalima
lamha-e-maujūd se mukālima
maiñ ye bolā guzarte lamhe se
dam to le yaar
aisī jaldī kyā
do ghaḌī paas baiTh
baat to kar
lamha bolā
maiñ ruk nahīñ saktā
kyūñki ik mustaqil safar huuñ maiñ
mujh ko lamhe se
sadī banñā hai
ruk ga.e hote gar qadam mere
irtiqā-e-insānī
Thahar gayā hotā
aap patthar ke daur meñ the jahāñ
jañgaloñ kī jhāḌī meñ
gahre andhe ġhāroñ meñ
aaj bhī paḌe hote
lamha-e-maujud se mukalima
main ye bola guzarte lamhe se
dam to le yar
aisi jaldi kya
do ghaDi pas baiTh
baat to kar
lamha bola
main ruk nahin sakta
kyunki ek mustaqil safar hun main
mujh ko lamhe se
sadi banna hai
ruk gae hote gar qadam mere
irtiqa-e-insani
Thahar gaya hota
aap patthar ke daur mein the jahan
jangalon ki jhaDi mein
gahre andhe ghaaron mein
aaj bhi paDe hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.