lamha-lamha pyas
mujhe aisā mahsūs hone lagā hai
kitābeñ qalam mez kursī ye album
ye guDDan kā mā'sūm photo
udhar shelf kī gard se jhāñktī 'mīr'-o-'ġhālib' kī rūheñ
dhanak-rang maazī
mirī zindagānī kā ek ek lamha
koī mujh se chhīne liye jā rahā hai
jahāñ zindagī sho'la-e-be-karāñ hai
har ik lamha ik lamha-e-jāvedāñ hai
qalam jaise būḌhā sipāhī tamāshā-e-ahl-e-hunar dekhtā ho
mujhe aisa mahsus hone laga hai
kitaben qalam mez kursi ye album
ye guDDan ka ma'sum photo
udhar shelf ki gard se jhankti 'mir'-o-'ghaalib' ki ruhen
dhanak-rang mazi
meri zindagani ka ek ek lamha
koi mujh se chhine liye ja raha hai
jahan zindagi sho'la-e-be-karan hai
har ek lamha ek lamha-e-jawedan hai
qalam jaise buDha sipahi tamasha-e-ahl-e-hunar dekhta ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.