lamhe ki maut
kuchh duur talak
kuchh duur talak
vo lamha us ke saath chalā
jab us ne dil meñ ye sochā
ye girtī dīvāreñ
ye dhuāñ
ye kaalī chhateñ
ye andhe diye
sañvlāte hue saare chehre
ab us kī nigāhoñ se ojhal ho jā.eñge
jab nagar nagar kī siyāhī
in teḌhī-meḌhī saḌkoñ kī
āvāragardī
hañste jism
khanakte pyāloñ
kī mausīqī
us ko raas na aa.ī
us ne kahā
ab aao lauT chaleñ
ik shaam vo apne ghar pahuñchā
aur us se milne ko aa.e
sab sāthī us ke bachpan ke
sab kahne lage
in jag-mag karte shahroñ kā
kuchh haal batāo
apne safar kī
kuchh rūdād kaho
vo ḳhāmosh rahā
vo dekh rahā thā us maile se taaq ko
jis par
ab bhī ek ghaḌī rakkhī thī
aur vo band paḌī thī
Moment's Death
kuchh dur talak
kuchh dur talak
wo lamha us ke sath chala
jab us ne dil mein ye socha
ye girti diwaren
ye dhuan
ye kali chhaten
ye andhe diye
sanwlate hue sare chehre
ab us ki nigahon se ojhal ho jaenge
jab nagar nagar ki siyahi
in teDhi-meDhi saDkon ki
aawaragardi
hanste jism
khanakte pyalon
ki mausiqi
us ko ras na aai
us ne kaha
ab aao lauT chalen
ek sham wo apne ghar pahuncha
aur us se milne ko aae
sab sathi us ke bachpan ke
sab kahne lage
in jag-mag karte shahron ka
kuchh haal batao
apne safar ki
kuchh rudad kaho
wo KHamosh raha
wo dekh raha tha us maile se taq ko
jis par
ab bhi ek ghaDi rakkhi thi
aur wo band paDi thi
Moment's Death
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.