lamhon ki nilami
hāthoñ meñ jaam
aur hosh kī baat kareñ
are kuchh to
hosh kī baat kar saaqī
paimāna bhī na chhalke
aur surūr chaḌhe
apnī āñkhoñ se
kuchh to kaam le saaqī
pahra naqāb kā
aur ye terī bebākī
donoñ meñ koī to
ittifāq rakh saaqī
kab se baiThe haiñ
luTāne ye dil-o-jāñ
apnī adāoñ ko
ab to anjām de saaqī
sub.h kar lenā
pichhlī raat kā hisāb
uñgliyoñ pe to na gin
ye hasīñ lamhe saaqī
hathon mein jam
aur hosh ki baat karen
are kuchh to
hosh ki baat kar saqi
paimana bhi na chhalke
aur surur chaDhe
apni aankhon se
kuchh to kaam le saqi
pahra naqab ka
aur ye teri bebaki
donon mein koi to
ittifaq rakh saqi
kab se baiThe hain
luTane ye dil-o-jaan
apni adaon ko
ab to anjam de saqi
subh kar lena
pichhli raat ka hisab
ungliyon pe to na gin
ye hasin lamhe saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.