lamp post
lamp post se Tek lagā.e baiThā hai vaqt
apnī āñkhoñ meñ liye
bahut saare narm ḳhvāb
bahut saarī haul-nāk yādeñ
koltār kī chiknī saḌak par chaltī nahīñ bahtī huī gāḌiyāñ
qatār dar qatār Trāmeñ aur buseñ
shaam kā dhuñdalkā
sharīf-zādoñ se khusur-phusur kartī
sastī quality kī ḳhushbū meñ basī falākat-zada sūrateñ
ek do tilā bas
uupar vaalī khiḌkī par nigāhoñ ko gudgudātā mīThā sā chehra
yā
be-rahm pahiyoñ ke nīche dam toḌtā
lahūluhān rāhgīr
lamp post se Tek lagae baiTha hai waqt
apni aankhon mein liye
bahut sare narm KHwab
bahut sari haul-nak yaaden
koltar ki chikni saDak par chalti nahin bahti hui gaDiyan
qatar dar qatar Tramen aur busen
sham ka dhundalka
sharif-zadon se khusur-phusur karti
sasti quality ki KHushbu mein basi falakat-zada suraten
ek do tila bas
upar wali khiDki par nigahon ko gudgudata miTha sa chehra
ya
be-rahm pahiyon ke niche dam toDta
lahuluhan rahgir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.