lams-e-awwal
ye bhī kyā kam hai ki tū ne mujhe pahchān liyā
vo bhī kyā raat thī jab tujh se mulāqāt huī
sahmī sahmī sī nigāhoñ meñ zarā baat huī
jab tirī zulf-e-pur-afshāñ se havā aatī thī
dil ke tārīk bayābān mahak jaate the
tū ne ghabrā ke chhupā.ī thiiñ jo apnī āñkheñ
jaise do sāġhar-e-rañgīn kahīñ chhalke the
jab mirā haath tire haath se chhū jaatā thā
taar jaise kahīñ bijlī ke sanak jaate the
ye bhī kyā kam hai ki tū ne mujhe pahchān liyā
ye bhi kya kam hai ki tu ne mujhe pahchan liya
wo bhi kya raat thi jab tujh se mulaqat hui
sahmi sahmi si nigahon mein zara baat hui
jab teri zulf-e-pur-afshan se hawa aati thi
dil ke tarik bayaban mahak jate the
tu ne ghabra ke chhupai thin jo apni aankhen
jaise do saghar-e-rangin kahin chhalke the
jab mera hath tere hath se chhu jata tha
tar jaise kahin bijli ke sanak jate the
ye bhi kya kam hai ki tu ne mujhe pahchan liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.