lams jhuTa nahin
vo thal kī ret uḌātā hai
to zarre hoñToñ par chipak jaate haiñ
zabān zā.iqe kī kaḌvāhaT
thūktī rah jaatī hai
aur vo
jo band hoñToñ ke qufl toḌnā jāntā hai
chhaTī his muqaffal nahīñ kar saktā
vo nahīñ jāntā
bhiñche hoñToñ se chhuā jaa.e
to zabān hī nahīñ
dil bhī kalām karne se inkār kar detā hai
aur vo bhī
jo shab-o-roz kī chimniyoñ se nikaltā dhuāñ dekh kar
aag bujhāne lagtā hai
ḳhadd-o-ḳhāl ko bhasm hote nahīñ dekh saktā
vo raakh hote hoñToñ kī bhur-bhurāhaT
mahsūs nahīñ kar saktā
aur tum
jo pāniyoñ ko chhū kar
be-kanār kar sakte ho
havāoñ kī sarsarāhaT
qaid kar sakte ho poroñ meñ
utaar sakte ho rañgoñ kī vahī dil par
ban sakte haiñ tumhāre hoñT
ḳhvāb meñ bhī
reshmī sach
wo thal ki ret uData hai
to zarre honTon par chipak jate hain
zaban zaiqe ki kaDwahaT
thukti rah jati hai
aur wo
jo band honTon ke qufl toDna jaanta hai
chhaTi his muqaffal nahin kar sakta
wo nahin jaanta
bhinche honTon se chhua jae
to zaban hi nahin
dil bhi kalam karne se inkar kar deta hai
aur wo bhi
jo shab-o-roz ki chimniyon se nikalta dhuan dekh kar
aag bujhane lagta hai
KHadd-o-KHal ko bhasm hote nahin dekh sakta
wo rakh hote honTon ki bhur-bhurahaT
mahsus nahin kar sakta
aur tum
jo paniyon ko chhu kar
be-kanar kar sakte ho
hawaon ki sarsarahaT
qaid kar sakte ho poron mein
utar sakte ho rangon ki wahi dil par
ban sakte hain tumhaare honT
KHwab mein bhi
reshmi sach
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.