landscape
nīlgūñ kohre meñ lipTī shaam hai
lafz saare apnī apnī kashtiyoñ meñ baiTh kar
lambe safar par jā rahe haiñ
maiñ akelā
is kināre par khaḌā huuñ
hasrateñ dil meñ liye
ye sochtā huuñ
kaash maiñ bhī
ham-safar hotā
to maiñ bhī dekhtā ki
kis tarah alfāz
rastoñ bastiyoñ
aur manziloñ par
zindagī marqūm karte haiñ
nilgun kohre mein lipTi sham hai
lafz sare apni apni kashtiyon mein baiTh kar
lambe safar par ja rahe hain
main akela
is kinare par khaDa hun
hasraten dil mein liye
ye sochta hun
kash main bhi
ham-safar hota
to main bhi dekhta ki
kis tarah alfaz
raston bastiyon
aur manzilon par
zindagi marqum karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.