larazte sae
vo fasāna jise tārīkī ne dohrāyā hai
merī āñkhoñ ne sunā
merī āñkhoñ meñ laraztā huā qatra jaagā
merī āñkhoñ meñ larazte hue qatre ne kisī jhiil kī sūrat le lī
jis ke ḳhāmosh kināre pe khaḌā koī javāñ
duur jaatī huī doshīza ko
hasrat o yaas kī tasvīr bane taktā hai
hasrat o yaas kī tasvīr chhanākā sā havā
aur phir haal ke phaile hue parde ke har ik silvaT par
yak-ba-yak dāman-e-māzī ke larazte hue saa.e nāche
maazī o haal ke naate jaage
wo fasana jise tariki ne dohraya hai
meri aankhon ne suna
meri aankhon mein larazta hua qatra jaga
meri aankhon mein larazte hue qatre ne kisi jhil ki surat le li
jis ke KHamosh kinare pe khaDa koi jawan
dur jati hui doshiza ko
hasrat o yas ki taswir bane takta hai
hasrat o yas ki taswir chhanaka sa hawa
aur phir haal ke phaile hue parde ke har ek silwaT par
yak-ba-yak daman-e-mazi ke larazte hue sae nache
mazi o haal ke nate jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.