latifa
chaar shaḳhs aapas meñ the ik roz masrūf-e-namāz
bol uThā un meñ se nā-gahāñ ek mard-e-hīla-bāz
dūsre sāhab ne farmāyā ki o nādān chup
baat tū ne kis liye kī ho ga.ī fāsid namāz
tīsre sāhab ye bole baat kī to us ne kī
boltā hai kis liye tū hī baḌā hai jald-bāz
guftugū sun kar ye farmāne lage un ke imaam
shukr hai maiñ kuchh nahīñ bolā huī merī namāz
chaar shaKHs aapas mein the ek roz masruf-e-namaz
bol uTha un mein se na-gahan ek mard-e-hila-baz
dusre sahab ne farmaya ki o nadan chup
baat tu ne kis liye ki ho gai fasid namaz
tisre sahab ye bole baat ki to us ne ki
bolta hai kis liye tu hi baDa hai jald-baz
guftugu sun kar ye farmane lage un ke imam
shukr hai main kuchh nahin bola hui meri namaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.