lauh-e-mahfuz
Interesting Fact
9 March, 2007
mohalle kā jo rakhvālā thā
us ne ādatan lāThī bajā kar
balġhamī āvāz se na.ara lagāyā
jāgte rahnā
mire aḳhbār vaale ne idhar
ma.amūl se haT kar
mujhe āvāz de kar roz kā aḳhbār Daalā
yahī kuchh duudh vaale ne kiyā
aur pherī vaale ne maiñ sau kar sub.h jab uThā to un ma.asūm logoñ ne
ishāroñ aur kināyoñ se mujhe chāhā batānā aur samjhānā jo shāyad ik zamāne ko patā thā mā-sivā mere
ki mere naam kī taḳhtī se
merā naam ġhā.eb hai
ba-zāhir faisla saa.ib hai
in taaza ḳhudāoñ kā hamāre nā-ḳhudāoñ kā
magar ye bhī unheñ ma.alūm to hogā
jo ḳhāliq hai zamīn-o-āsmāñ kā
vo jo mālik hai
raqam taqdīr kartā hai
vahī tahrīr kartā hai
nahīñ mumkin miTānā
merī jaisī ājiz-o-majbūr hastī ke liye jo kuchh bhī vo tahrīr kartā hai
jo vo taqdīr kartā hai
yaqīñ merā
mirā īmān hai us par
ki merī lauh par sab kuchh
usī tarah se kanda hai
mire ḳhāliq ne mere naam ko
kal kī tarah se
aaj bhī mahfūz rakkhā hai
vo mere naam ko
kal bhī yūñhī mahfūz rakkhegā
mohalle ka jo rakhwala tha
us ne aadatan laThi baja kar
balghami aawaz se nara lagaya
jagte rahna
mere aKHbar wale ne idhar
mamul se haT kar
mujhe aawaz de kar roz ka aKHbar Dala
yahi kuchh dudh wale ne kiya
aur pheri wale ne main sau kar subh jab uTha to un masum logon ne
ishaaron aur kinayon se mujhe chaha batana aur samjhana jo shayad ek zamane ko pata tha ma-siwa mere
ki mere nam ki taKHti se
mera nam ghaeb hai
ba-zahir faisla saib hai
in taza KHudaon ka hamare na-KHudaon ka
magar ye bhi unhen malum to hoga
jo KHaliq hai zamin-o-asman ka
wo jo malik hai
raqam taqdir karta hai
wahi tahrir karta hai
nahin mumkin miTana
meri jaisi aajiz-o-majbur hasti ke liye jo kuchh bhi wo tahrir karta hai
jo wo taqdir karta hai
yaqin mera
mera iman hai us par
ki meri lauh par sab kuchh
usi tarah se kanda hai
mere KHaliq ne mere nam ko
kal ki tarah se
aaj bhi mahfuz rakkha hai
wo mere nam ko
kal bhi yunhi mahfuz rakkhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.