lazzat-e-agahi
maiñ ajiib lazzat-e-āgahī se do chaar huuñ
yahī āgahī mirā lutf hai mirā karb hai
ki maiñ jāntā huuñ
maiñ jāntā huuñ ki dil meñ jitnī sadāqateñ haiñ
vo tiir haiñ
jo chaleñ to naġhma sunā.ī de
jo hadaf pe jā ke lageñ to kuchh bhī na bach sake
ki sadāqatoñ kī nafī hamārī hayāt hai
mire dil meñ aisī haqīqatoñ ne panāh lī hai
ki jin pe ek nigāh Dālnā
sūrajoñ ko butūn-e-jāñ meñ utārnā hai
maiñ jāntā huuñ
ki hākimoñ kā jo hukm hai
vo dar-asl adl kā ḳhauf hai
vo sazā.eñ dete haiñ
aur nahīñ jānte
ki jitnī sazā.eñ haiñ
vo sitamgarī kī ridā.eñ haiñ
mujhe ilm hai
yahī ilm merā surūr hai ye ilm merā azaab hai
yahī ilm mirā nasha hai
aur mujhe ilm hai
ki jo zahr hai vo nashe kā dūsrā naam hai
maiñ ajiib lazzat-e-āgahī se do-chār huuñ
main ajib lazzat-e-agahi se do chaar hun
yahi aagahi mera lutf hai mera karb hai
ki main jaanta hun
main jaanta hun ki dil mein jitni sadaqaten hain
wo tir hain
jo chalen to naghma sunai de
jo hadaf pe ja ke lagen to kuchh bhi na bach sake
ki sadaqaton ki nafi hamari hayat hai
mere dil mein aisi haqiqaton ne panah li hai
ki jin pe ek nigah Dalna
surajon ko butun-e-jaan mein utarna hai
main jaanta hun
ki hakimon ka jo hukm hai
wo dar-asl adl ka KHauf hai
wo sazaen dete hain
aur nahin jaante
ki jitni sazaen hain
wo sitamgari ki ridaen hain
mujhe ilm hai
yahi ilm mera surur hai ye ilm mera azab hai
yahi ilm mera nasha hai
aur mujhe ilm hai
ki jo zahr hai wo nashe ka dusra nam hai
main ajib lazzat-e-agahi se do-chaar hun
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 317)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.