go gulistan-e-jahan par meri nazren kam paDin
aur paDin bhi to KHuda shahid ba-chashm-e-nam paDin
kar rahi thi fasl-e-gul jab raaz-e-qudarat aashkar
jab ugalti thi zamin ganjina-ha-e-par-bahaar
KHun ke aansu bhare the dida-e-namnak mein
muKHtalif shaklen thin gham ki chehra-e-ghamnak mein
fitratan dil mein na tha mere kabhi arman-e-aish
band kar leta tha aankhen dekh kar saman-e-aish
kya kahun ai ham-nafas sair-e-chaman ki dastan
gul the jab shabnam-ba-kaf aankhen thin jis din KHun-chakan
aabshaaron ke muqabil baiTh kar roya hun main
KHar sahra ke bichha kar chin se soya hun main
subh ko jab karwaTen leti thin nahren bagh mein
kya kahun kaisi chamak uThti thi dil ke dagh mein
main ne dekhi hain yahan taron bhari raaten bahut
aur ki hain fitrat-e-KHamosh se baaten bahut
kya bataun dil mein mere ek barchhi si gaDi
subh ko pahli kiran suraj ki jab mujh par paDi
mere nazzare mein muzmar tha mera haal-e-tabah
aabla ban kar ubhar aati thi meri har nigah
raat ki tarikiyon mein dil bahalta tha kabhi
pur-KHatar viraniyon mein main Tahalta tha kabhi
kya bataun main bhaDak uThte the kyunkar dil ke dagh
jab chaman karta tha raushan taza kaliyon ke charagh
ashk-bari mein basar duniya ki raaten main ne kin
be-kasi mein ek ek zarre se baaten main ne kin
DabDaba aati thin aankhen koi hansta tha agar
thi nashat-e-zindagi meri nazar mein pur-KHatar