Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

leap ka sal

Mahmood Shaam

leap ka sal

Mahmood Shaam

MORE BYMahmood Shaam

    is baras ek din ziyāda hai

    kaam kar leñ bahut irāda hai

    leap saal jab bhī aatā hai

    ek din aur saath laatā hai

    chaar par jab use kareñ taqsīm

    puurā puurā baT ye jaatā hai

    is baras ek din ziyāda hai

    kaam kar leñ bahut irāda hai

    farvarī hogī ab ke untīs

    birthday hogī jaane kis kis

    tiin barsoñ se jo rukī hogī

    ḳhush raheñ birthday ho jis jis

    is baras ek din ziyāda hai

    kaam kar leñ bahut irāda hai

    har nayā saal ek ne.amat hai

    vaqt jitnā bhī hai vo daulat hai

    ḳharch is ko kareñ mohabbat se

    phir to is meñ bahut barakat hai

    is baras ek din ziyāda hai

    kaam kar leñ bahut irāda hai

    tiin sau saaTh jam.a chhe din aur

    kitnī daulat haiñ ye karo to ġhaur

    jo nahīñ ho sakā hai pichhle saal

    kaam karnā hai ab ke vo har taur

    is baras ek din ziyāda hai

    kaam kar leñ bahut irāda hai

    is baras ek din ziyaada hai

    kaam kar len bahut irada hai

    leap ka sal jab bhi aata hai

    ek din aur sath lata hai

    chaar par jab use karen taqsim

    pura pura hi baT ye jata hai

    is baras ek din ziyaada hai

    kaam kar len bahut irada hai

    farwari hogi ab ke untis ki

    birthday hogi jaane kis kis ki

    tin barson se jo ruki hogi

    KHush rahen birthday ho jis jis ki

    is baras ek din ziyaada hai

    kaam kar len bahut irada hai

    har naya sal ek neamat hai

    waqt jitna bhi hai wo daulat hai

    KHarch is ko karen mohabbat se

    phir to is mein bahut hi barakat hai

    is baras ek din ziyaada hai

    kaam kar len bahut irada hai

    tin sau saTh jama chhe din aur

    kitni daulat hain ye karo to ghaur

    jo nahin ho saka hai pichhle sal

    kaam karna hai ab ke wo har taur

    is baras ek din ziyaada hai

    kaam kar len bahut irada hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now