lekin tumhein KHabar hi nahin hai kamal hai
jis ek chocolate kā vā'da hai mere saath
sach jāniye to us kī tamanna meñ ye zabāñ
ab zā.iqoñ se duur hue jā rahī hai yuuñ
jaise ki jāgtī huī āñkhoñ se ḳhvāb-e-‘ishq
jaise ki sardiyoñ ke ghane bādaloñ se dhuup
doshīzgī-e-husn se jaise ki rang-o-rūp
us chocolate bin mirā jiinā muhāl hai
lekin tumheñ ḳhabar hī nahīñ hai kamāl hai
lekin tumheñ ḳhabar hī nahīñ hai kamāl hai
jis ek chocolate ka wa'da hai mere sath
sach jaaniye to us ki tamanna mein ye zaban
ab zaiqon se dur hue ja rahi hai yun
jaise ki jagti hui aankhon se KHwab-e-‘ishq
jaise ki sardiyon ke ghane baadalon se dhup
doshizgi-e-husn se jaise ki rang-o-rup
us chocolate bin mera jina muhaal hai
lekin tumhein KHabar hi nahin hai kamal hai
lekin tumhein KHabar hi nahin hai kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.