lekin
zindagī tujh se tavaqqo to bahut thī lekin
tire faizān-e-dil-āvez ke dāman meñ magar
mire hisse kī ḳhushī kā koī aañsū bhī nahīñ
koī shabnam koī taarā koī jugnū bhī nahīñ
koī dīvār koī dar koī saaya bhī nahīñ
koī apnā bhī nahīñ koī parāyā bhī nahīñ
ek lā-samt safar par maiñ ravāñ huuñ ab tak
ḳhud se kahtā huuñ ki maiñ huuñ
pa kahāñ huuñ ab tak
habs-e-bejā kā tasalsul bhī hai tanhā.ī bhī
jaane kyoñ in dinoñ ummīd bhī hai ḳhāk-basar
jaane kyoñ in dinoñ māyūs tamanna kī nazar
yuuñ bhī bil-vāsta hotī hai muḳhātib aksar
ai masā.ib se ulajhte hue tanhā paikar
kaun hai tū ki tire tīra-shabistāñ meñ kabhī
chāñdnī koī pa.e-pursish-e-ġham aa.ī nahīñ
kaun hai tū tire ayyām ke ā.īne meñ
koī ruḳhsār kā ḳhāka koī gesū bhī nahīñ
koī shabnam koī taarā koī jugnū bhī nahīñ
tire hisse meñ ḳhushī kā koī aañsū bhī nahīñ
be-karāñ ālam-e-tanhā.ī kā ehsās-e-shadīd
had se hotā hai ziyāda to mafar kī ḳhātir
ḳhud-kalāmī meñ basar kartā huuñ bojhal lamhe
aur ārāsta hotī hai ḳhayālī mahfil
ḳhud-farebī kā ye andāz hai go vāqif huuñ
ḳhud-farebī to nahīñ ġham kā mudāvā lekin
zindagi tujh se tawaqqo to bahut thi lekin
tere faizan-e-dil-awez ke daman mein magar
mere hisse ki KHushi ka koi aansu bhi nahin
koi shabnam koi tara koi jugnu bhi nahin
koi diwar koi dar koi saya bhi nahin
koi apna bhi nahin koi paraya bhi nahin
ek la-samt safar par main rawan hun ab tak
KHud se kahta hun ki main hun
pa kahan hun ab tak
habs-e-beja ka tasalsul bhi hai tanhai bhi
jaane kyon in dinon ummid bhi hai KHak-basar
jaane kyon in dinon mayus tamanna ki nazar
yun bhi bil-wasta hoti hai muKHatib aksar
ai masaib se ulajhte hue tanha paikar
kaun hai tu ki tere tira-shabistan mein kabhi
chandni koi pae-pursish-e-gham aai nahin
kaun hai tu tere ayyam ke aaine mein
koi ruKHsar ka KHaka koi gesu bhi nahin
koi shabnam koi tara koi jugnu bhi nahin
tere hisse mein KHushi ka koi aansu bhi nahin
be-karan aalam-e-tanhai ka ehsas-e-shadid
had se hota hai ziyaada to mafar ki KHatir
KHud-kalami mein basar karta hun bojhal lamhe
aur aarasta hoti hai KHayali mahfil
KHud-farebi ka ye andaz hai go waqif hun
KHud-farebi to nahin gham ka mudawa lekin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.