leo tolstoy
hai jo rāh-e-zindagī meñ pech-o-ḳham kā ik maqām
yā imārat meñ hai jo jāh-o-hasham kā ik maqām
muflisī meñ hai jo fikr-o-ranj-o-ġham kā ik maqām
hai tamaddun meñ vahī ahl-e-qalam kā ik maqām
ye badal dete haiñ dil kī dhaḌkanoñ ko pyaar se
kam nahīñ hotā qalam kā zor kuchh talvār se
hote haiñ ahl-e-qalam hī mulk-o-millat kā nishāñ
daur-e-māzī ke tamaddun kī yahī haiñ dāstāñ
aur daur-e-hāl ke hālāt ke haiñ tarjumāñ
balki kah sakte haiñ in ko qaum ke rūh-e-ravāñ
aa.ina hote haiñ ye millat ke ehsāsāt kā
aur paimāna haiñ goyā mulk ke hālāt kā
tolstoy thā jo duniyā ke adīboñ kā imaam
hind meñ vāqif hai us ke naam se har ḳhās-o-ām
ruus meñ paidā huā thā vo adīb-e-ḳhush-kalām
aur phir duniyā meñ chamkā sūrat-e-māh-e-tamām
thī himāyat us kī hāsil un ko jo mahkūm the
us kī nazroñ meñ the saare mulk jo mazlūm the
jab kiyā tasnīf novel jang aur amn-o-amāñ
ruus ke mazlūm insānoñ kī ḳhūnī dāstāñ
ġhāziyān-e-jang-e-āzādī kā sab likkhā bayāñ
phir diyā paiġhām un ko the jo mīr-e-kārvāñ
naujavānoñ ko diyā ik azm-o-himmat kā payām
un ko samjhāyā ġhulāmī meñ nadāmat kā maqām
haal sab mahkūm mulkoñ kā use ma.alūm thā
hausla un kā baḌhāyā jis qadar mumkin huā
aur un kī kashmakash ko ġhaur se dekhā kiyā
ḳhush huā vo mulk jab bedār koī ho gayā
san satāvan meñ laḌī ham ne jo āzādī kī jang
us se vābasta rahī thī tolstoy kī umang
barbariyat kī añdherī shab meñ parvāna thā vo
sham-e-āzādī pe miT jaane ko dīvāna thā vo
jaḌ hilā dī zulm kī ik aisā mastāna thā vo
jaam azmat ke diye ik pīr-e-mai-ḳhāna thā vo
gorky lenin-o-gāñdhī ne kiyā hai ehtirām
ham 'shifā' us dīda-var ko pesh karte haiñ salām
hai jo rah-e-zindagi mein pech-o-KHam ka ek maqam
ya imarat mein hai jo jah-o-hasham ka ek maqam
muflisi mein hai jo fikr-o-ranj-o-gham ka ek maqam
hai tamaddun mein wahi ahl-e-qalam ka ek maqam
ye badal dete hain dil ki dhaDkanon ko pyar se
kam nahin hota qalam ka zor kuchh talwar se
hote hain ahl-e-qalam hi mulk-o-millat ka nishan
daur-e-mazi ke tamaddun ki yahi hain dastan
aur daur-e-haal ke haalat ke hain tarjuman
balki kah sakte hain in ko qaum ke ruh-e-rawan
aaina hote hain ye millat ke ehsasat ka
aur paimana hain goya mulk ke haalat ka
tolstoy tha jo duniya ke adibon ka imam
hind mein waqif hai us ke nam se har KHas-o-am
rus mein paida hua tha wo adib-e-KHush-kalam
aur phir duniya mein chamka surat-e-mah-e-tamam
thi himayat us ki hasil un ko jo mahkum the
us ki nazron mein the sare mulk jo mazlum the
jab kiya tasnif nowel jang aur amn-o-aman
rus ke mazlum insanon ki KHuni dastan
ghaziyan-e-jang-e-azadi ka sab likkha bayan
phir diya paigham un ko the jo mir-e-karwan
naujawanon ko diya ek azm-o-himmat ka payam
un ko samjhaya ghulami mein nadamat ka maqam
haal sab mahkum mulkon ka use malum tha
hausla un ka baDhaya jis qadar mumkin hua
aur un ki kashmakash ko ghaur se dekha kiya
KHush hua wo mulk jab bedar koi ho gaya
san satawan mein laDi hum ne jo aazadi ki jang
us se wabasta rahi thi tolstoy ki umang
barbariyat ki andheri shab mein parwana tha wo
sham-e-azadi pe miT jaane ko diwana tha wo
jaD hila di zulm ki ek aisa mastana tha wo
jam azmat ke diye ek pir-e-mai-KHana tha wo
gorky lenin-o-gandhi ne kiya hai ehtiram
hum 'shifa' us dida-war ko pesh karte hain salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.