hamāre maulvī sāhab kahte haiñ
ki mard-o-aurat ek dūsre ke libās haiñ
lekin na jaane kyoñ pahnā sirf mujhe hī jaatā hai
bartā sirf mujhe hī jaatā hai
mujhe hī kuredā jaatā hai gandagī kī hālat meñ
aur sirf mujhe hī nichoḌā jaatā hai
ka.ī ka.ī dafa muḳhtasar se lamhe meñ
haañ sirf maiñ nichuḌī jaatī huuñ
ek imkān-e-ḳhush-ā.ind kī ḳhātir
haañ maiñ nichuḌtī huuñ aur phir ḳhud ko sukhātī huuñ
ki aglī raat phir se mujhe pahnā jā.egā
aur bartā jā.egā
aur nichoḌā bhī
kyūñki hamāre maulvī sāhab kahte haiñ
mard aur aurat ek dūsre ke libās haiñ
hamare maulwi sahab kahte hain
ki mard-o-aurat ek dusre ke libas hain
lekin na jaane kyon pahna sirf mujhe hi jata hai
barta sirf mujhe hi jata hai
mujhe hi kureda jata hai gandagi ki haalat mein
aur sirf mujhe hi nichoDa jata hai
kai kai dafa muKHtasar se lamhe mein
han sirf main nichuDi jati hun
ek imkan-e-KHush-aind ki KHatir
han main nichuDti hun aur phir KHud ko sukhati hun
ki agli raat phir se mujhe pahna jaega
aur barta jaega
aur nichoDa bhi
kyunki hamare maulwi sahab kahte hain
mard aur aurat ek dusre ke libas hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.