log kahte hain
log kahte haiñ ki ye aalam hai ik aalam nayā
sāz-e-nau hāthoñ meñ hai paidā hai zer-o-bam nayā
log kahte haiñ ki ab qismat hamāre saath hai
log kahte haiñ ki ab azmat hamāre saath hai
log kahte haiñ ki ab jiddat hamāre saath hai
log kahte haiñ magar kahne se kuchh hotā nahīñ
ye jo aalam hai nigāhoñ meñ nahīñ aalam nayā
haañ magar har ik nafas meñ hai payām-e-ġham nayā
jis ke charche haiñ jahāñ meñ vo masarrat hai kahāñ
log jis azmat pe nāzāñ haiñ vo azmat hai kahāñ
kaun in phūloñ pe qābiz hai vo rāhat hai kahāñ
DhūñDte haiñ dar-ba-dar anjām-e-mehnat hai kahāñ
ye jo aalam hai nigāhoñ meñ nahīñ aalam nayā
zaḳhm gahre haiñ bahut laao koī marham nayā
ġham ke maaro DhūñDh lo ik chāra-sāz-e-ġham nayā
mere dāman meñ nahīñ haiñ tere dāman meñ nahīñ
shāḳh-e-gulshan se jo gul phūTe vo gulshan meñ nahīñ
log kahte hain ki ye aalam hai ek aalam naya
saz-e-nau hathon mein hai paida hai zer-o-bam naya
log kahte hain ki ab qismat hamare sath hai
log kahte hain ki ab azmat hamare sath hai
log kahte hain ki ab jiddat hamare sath hai
log kahte hain magar kahne se kuchh hota nahin
ye jo aalam hai nigahon mein nahin aalam naya
han magar har ek nafas mein hai payam-e-gham naya
jis ke charche hain jahan mein wo masarrat hai kahan
log jis azmat pe nazan hain wo azmat hai kahan
kaun in phulon pe qabiz hai wo rahat hai kahan
DhunDte hain dar-ba-dar anjam-e-mehnat hai kahan
ye jo aalam hai nigahon mein nahin aalam naya
zaKHm gahre hain bahut lao koi marham naya
gham ke maro DhunDh lo ek chaara-saz-e-gham naya
mere daman mein nahin hain tere daman mein nahin
shaKH-e-gulshan se jo gul phuTe wo gulshan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.