mirī intihā-e-mohabbat masarrat sivā us ke kyā aur hogī
bajā.e koī masnad-e-āliya taḳht-e-tā.ūs-o-zar māñgne ke
bajā.e koī sar-bar-āvurda patthar-sifat shaḳhsiyat chāhne ke
tumhārī ma.iyyat rifāqat-e-tag-o-dau kā andāz māñgoñ
ye jamm-e-ġhafīr ek sail-e-ravāñ zindagī kā jolā se nikal kar
isī lā meñ phir Duub jaatā hai ye riit hai yūñhī jaarī
samundar jo phailā hai har chār-jānib ufuq se ufuq tak
samundar jo hai ā.īna-dār-e-hastī gihād-e-musalsal kashākash
samundar jo saffāk hai aur tūfāñ se labrez hai pur-junūñ hai
samundar jo bebāk hai janmdātā hai aur maut kā naġhma-e-sarmadī hai
ye sail-e-ravāñ yūñhī bahtā rahā hai isī sail meñ Duub jā.ūñ
maiñ jo ek qatra huuñ gahrā.ī gīrā.ī kā hajm kā us ke ban jā.ūñ hissa
mujhe koī muktī nahīñ chāhiye koī nirvān kī aarzū koī ḳhvāhish nahīñ ab
koī salsabīl aur kausar najāt-o-jazā pur-sukūñ koī lamha
nahīñ sirf amvāj kī shorish-e-rā.egāñ chāhiye ye agar rā.egāñ hai
meri intiha-e-mohabbat masarrat siwa us ke kya aur hogi
bajae koi masnad-e-aliya taKHt-e-taus-o-zar mangne ke
bajae koi sar-bar-awurda patthar-sifat shaKHsiyat chahne ke
tumhaari maiyyat rifaqat-e-tag-o-dau ka andaz mangon
ye jamm-e-ghafir ek sail-e-rawan zindagi ka jola se nikal kar
isi la mein phir Dub jata hai ye rit hai yunhi jari
samundar jo phaila hai har chaar-jaanib ufuq se ufuq tak
samundar jo hai aaina-dar-e-hasti gihad-e-musalsal kashakash
samundar jo saffak hai aur tufan se labrez hai pur-junun hai
samundar jo bebak hai janmdata hai aur maut ka naghma-e-sarmadi hai
ye sail-e-rawan yunhi bahta raha hai isi sail mein Dub jaun
main jo ek qatra hun gahrai girai ka hajm ka us ke ban jaun hissa
mujhe koi mukti nahin chahiye koi nirwan ki aarzu koi KHwahish nahin ab
koi salsabil aur kausar najat-o-jaza pur-sukun koi lamha
nahin sirf amwaj ki shorish-e-raegan chahiye ye agar raegan hai
- Book : Kulliyat-e-Akhtaruliman (Pg. 302)
- Author : Baidar Bakht
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.