lohe ka libas
maiñ apne aap ko
ek lohe ke libās meñ paatā huuñ
shāyad kabhī
ye koī zirah rahī ho
lekin ab ye merī qabr hai
maiñ apne tahaffuz ke muāmle meñ
bahut mohtāt rahā huuñ
aur ab
ek lohe ke libās meñ
ghuT kar mar rahā huuñ
ye libās
mujhe bahut se hathiyāroñ kī maar se mahfūz rakhtā hai
ye mere badan par
na tañg hai
na Dhīlā
albatta maiñ is libās meñ
chal phir nahīñ saktā
bāhar se
is kā jā.eza nahīñ le saktā
na uTh kar khaḌā ho saktā huuñ
lohe ke libās meñ
aadmī baḌā mahfūz rahtā hai
vo tamām shahr ko
apne sāmne jaltā
aur tamām logoñ ko martā dekh saktā hai
lohe ke libās meñ aadmī
kisī kī ibādat nahīñ kar saktā
kisī kā haath nahīñ thaam saktā
lohe ke libās meñ aadmī
zindagī par
thuuk nahīñ saktā
main apne aap ko
ek lohe ke libas mein pata hun
shayad kabhi
ye koi zirah rahi ho
lekin ab ye meri qabr hai
main apne tahaffuz ke muamle mein
bahut mohtat raha hun
aur ab
ek lohe ke libas mein
ghuT kar mar raha hun
ye libas
mujhe bahut se hathiyaron ki mar se mahfuz rakhta hai
ye mere badan par
na tang hai
na Dhila
albatta main is libas mein
chal phir nahin sakta
bahar se
is ka jaeza nahin le sakta
na uTh kar khaDa ho sakta hun
lohe ke libas mein
aadmi baDa mahfuz rahta hai
wo tamam shahr ko
apne samne jalta
aur tamam logon ko marta dekh sakta hai
lohe ke libas mein aadmi
kisi ki ibaadat nahin kar sakta
kisi ka hath nahin tham sakta
lohe ke libas mein aadmi
zindagi par
thuk nahin sakta
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 236)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.