lok-gatha ka jadu
is ik lok gāthā ne
bachpan ke vo din
mujhe phir dilā.e haiñ yaad
ki jab maiñ ka.ī baar
paapā ki godī meñ baiThī
baḌī aañkh vaale
bhayānak baḌe azhdahā kī kathā sun rahī thī
jise shāhzāde ne hī maar Daalā thā āḳhir
ye kuchh is tarah lag rahā thā
ki jaise ye kal hī huā ho
bhayañkar nazar aane vaalā baḌā azhdahā jab
idhar shāhzāde ko khāne ko lapkā
to maiñ ne jhaT apnā chehra
chhupā Daalā paapā ke kāñdhoñ ke biich
yahī jaan kar mere paapā bachā leñge mujh ko
agar azhdahe ne yahī faisla kar liyā ho ki merā badan
shāhzāde se ziyāda lazīz hī to hogā
jo ab is qadar apne paapā se duur
milūñ azhdahā se
laḌūñgī maiñ us se zarūr
apne paapā kī gahrī mohabbat ke bal par
ki vo azhdahā ab bhī rahtā hai
tahzīb ke maare logoñ ke biich
ki āḳhir mire paapā kī lok-gāthāoñ ne hī
dikhāyā hai mujh ko
ki achchhā.iyoñ hī kī hotī jiit is jahāñ meñ
chunāñche mujhe jis qadar apne paapā pe pakkā yaqīñ hai
un kī sab lok-gāthāoñ par bhī hai utnā yaqīñ
is ek lok gatha ne
bachpan ke wo din
mujhe phir dilae hain yaad
ki jab main kai bar
papa ki godi mein baiThi
baDi aankh wale
bhayanak baDe azhdaha ki katha sun rahi thi
jise shahzade ne hi mar Dala tha aaKHir
ye kuchh is tarah lag raha tha
ki jaise ye kal hi hua ho
bhayankar nazar aane wala baDa azhdaha jab
idhar shahzade ko khane ko lapka
to main ne jhaT apna chehra
chhupa Dala papa ke kandhon ke bich
yahi jaan kar mere papa bacha lenge mujh ko
agar azhdahe ne yahi faisla kar liya ho ki mera badan
shahzade se ziyaada laziz hi to hoga
jo ab is qadar apne papa se dur
milun azhdaha se
laDungi main us se zarur
apne papa ki gahri mohabbat ke bal par
ki wo azhdaha ab bhi rahta hai
tahzib ke mare logon ke bich
ki aaKHir mere papa ki lok-gathaon ne hi
dikhaya hai mujh ko
ki achchhaiyon hi ki hoti jit is jahan mein
chunanche mujhe jis qadar apne papa pe pakka yaqin hai
un ki sab lok-gathaon par bhi hai utna yaqin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.