loktantr ka raja
hamārā raaja andhā aur bahrā
raaja apnī banā.ī ratauñdhī meñ mast hai
na dekh saktā hai na sun saktā hai
jaḌ patthar sā ki hameñ kyā kashT hai
par raajā na jāneñ kahāñ se
patā kartā mahsūs kar letā
ki jantā kī jeb meñ hai paise
mahñgā.ī baḌhā kar tex lagā kar
hazār karor se bahāne banā kar
nikalvā letā hai kaise na kaise
raaja ahañkār se bharā
raajā banā rahtā hai sab se kharā
raajā halq se nivāle khīñchtā hai
raajā hamārī durdashā se āñkheñ mīchtā hai
raajā pāñch saal meñ ek baar aatā hai
raajā pathrā.ī āñkhoñ ko sapne dikhtā hai
raajā phir pāñch saal ko mahal meñ so jaatā hai
jantā ko batāyā jaatā hai yahī
ki raajā hotā hai hamesha sahī
raajā jantā kī sevā meñ vest hai
jabki jānte haiñ sabhī hamārā raajā
apnī banā.ī ratauñdhī meñ mast hai
use kyā matlab ham se
ki hameñ kyā dukh hai kyā kashT hai
hamara raja andha aur bahra
raja apni banai rataundhi mein mast hai
na dekh sakta hai na sun sakta hai
jaD patthar sa ki hamein kya kashT hai
par raja na jaanen kahan se
pata karta mahsus kar leta
ki janta ki jeb mein hai paise
mahngai baDha kar tex laga kar
hazar karor se bahane bana kar
nikalwa leta hai kaise na kaise
raja ahankar se bhara
raja bana rahta hai sab se khara
raja halq se niwale khinchta hai
raja hamari durdasha se aankhen michta hai
raja panch sal mein ek bar aata hai
raja pathrai aankhon ko sapne dikhta hai
raja phir panch sal ko mahal mein so jata hai
janta ko bataya jata hai yahi
ki raja hota hai hamesha sahi
raja janta ki sewa mein west hai
jabki jaante hain sabhi hamara raja
apni banai rataundhi mein mast hai
use kya matlab hum se
ki hamein kya dukh hai kya kashT hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.