london ki ek sham
ye rahguzar
ye zan o mard kā hujūm ye shaam
farāz-e-koh se jis tarah naddiyāñ sar par
liye hue shafaq-ālūd barf ke paikar
safed jhiil kī āġhosh meñ simaT jaa.eñ
ye tund-gām subuk-sair kārvān-e-hayāt
''na ibtidā kī ḳhabar hai na intihā ma.alūm''
kidhar se aa.e kidhar jā rahe haiñ kyā ma.alūm
sunahrī shaam
ye 'e-rose' jhilmilātā huā
bañdhā huā hai nishāna khiñchī huī hai kamāñ
kise ye tiir lagegā
kahāñ? yahāñ ki vahāñ!
nazar nazar se milī dil kā kaam ḳhatm huā
sunahrī shaam
ye 'erose' jagmagātā hai
koī hañse koī ro.e ye muskurātā hai
isī maqām pe phir lauT kar meñ aayā huuñ
ye rahguzar ye zan o mard kā hujūm ye shaam
ye tund-sair subuk-gām kārvān-e-hayāt
ye josh-e-rañg ye Tuġhyān-e-husn ke jalve
yahīñ ke nuur se raushan mirī nigāheñ haiñ
mire shabāb kī roñdī huī ye rāheñ haiñ
vahī maqām hai lekin vahī maqām nahīñ
ye shaam to hai magar vo sunahrī shaam nahīñ
vo ro.ab-dāb nahīñ hai
vo dhūm-dhām nahīñ
vo maiñ nahīñ huuñ
ki un kā maiñ ab ġhulām nahīñ
sanam-kadoñ meñ ujāle nahīñ rahe ki jo the
ki ab vo dekhne vaale nahīñ rahe ki jo the
ye rahguzar
ye zan o mard ka hujum ye sham
faraaz-e-koh se jis tarah naddiyan sar par
liye hue shafaq-alud barf ke paikar
safed jhil ki aaghosh mein simaT jaen
ye tund-gam subuk-sair karwan-e-hayat
na ibtida ki KHabar hai na intiha malum
kidhar se aae kidhar ja rahe hain kya malum
sunahri sham
ye 'e-rose' jhilmilata hua
bandha hua hai nishana khinchi hui hai kaman
kise ye tir lagega
kahan? yahan ki wahan!
nazar nazar se mili dil ka kaam KHatm hua
sunahri sham
ye 'erose' jagmagata hai
koi hanse koi roe ye muskuraata hai
isi maqam pe phir lauT kar mein aaya hun
ye rahguzar ye zan o mard ka hujum ye sham
ye tund-sair subuk-gam karwan-e-hayat
ye josh-e-rang ye Tughyan-e-husn ke jalwe
yahin ke nur se raushan meri nigahen hain
mere shabab ki rondi hui ye rahen hain
wahi maqam hai lekin wahi maqam nahin
ye sham to hai magar wo sunahri sham nahin
wo roab-dab nahin hai
wo dhum-dham nahin
wo main nahin hun
ki un ka main ab ghulam nahin
sanam-kadon mein ujale nahin rahe ki jo the
ki ab wo dekhne wale nahin rahe ki jo the
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 25)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.