lucknow
maazī kī tajallī se māmūr ye kāshāna
ehsās-e-musalmāñ ko kar detā hai dīvāna
allāh re bedardī tūfān-e-havādis kī
duniyā meñ haqīqat bhī ban jaatī hai afsāna
aalam kī nigāhoñ se utre hue aivāno
be-sāḳhta ashkoñ kā hāzir hai ye nazrāna
ab husn kī mahfil meñ hasrat sī barastī hai
vo ġhamza-e-hindī haiñ nai ishva-e-turkāna
ġham azmat-e-rafta kā siine meñ liye apne
sayyāh se kahtā hai har zarra ye afsāna
sar le ke hathelī par ubhrī thī jo duniyā meñ
us qaum ko le Duubā shuġhl-e-mai-o-mai-ḳhāna
mazi ki tajalli se mamur ye kashana
ehsas-e-musalman ko kar deta hai diwana
allah re bedardi tufan-e-hawadis ki
duniya mein haqiqat bhi ban jati hai afsana
aalam ki nigahon se utre hue aiwano
be-saKHta ashkon ka hazir hai ye nazrana
ab husn ki mahfil mein hasrat si barasti hai
wo ghamza-e-hindi hain nai ishwa-e-turkana
gham azmat-e-rafta ka sine mein liye apne
sayyah se kahta hai har zarra ye afsana
sar le ke hatheli par ubhri thi jo duniya mein
us qaum ko le Duba shughl-e-mai-o-mai-KHana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.