lughat ke be-mani alfaz
mohabbat muravvat ḳhulūs aur ulfat
saḳhāvat karam baḳhshish-o-mehrbānī
vafā pyaar rahm aur īsār-o-shafqat
farā.ez ta.āvun aur īmāñ ke jazbe
jo zīnat luġhat ke abhī tak bane haiñ
vajūd in kā lekin amal meñ
kahāñ hai
sahar ke bhī pur-kaif lamhoñ meñ DhūñDhā
chamaktī huī dopahar meñ bhī parkhā
vo sardī kī ThiThurī huī raat meñ bhī
garajtī barastī sī barsāt meñ bhī
magar bū-e-mafhūm in meñ nahīñ thī
bahut roz se sochtī huuñ
ki in saare masnūī lafzoñ ko ab maiñ
luġhat se khurach duuñ
mohabbat murawwat KHulus aur ulfat
saKHawat karam baKHshish-o-mehrbani
wafa pyar rahm aur isar-o-shafqat
faraez taawun aur iman ke jazbe
jo zinat lughat ke abhi tak bane hain
wajud in ka lekin amal mein
kahan hai
sahar ke bhi pur-kaif lamhon mein DhunDha
chamakti hui dopahar mein bhi parkha
wo sardi ki ThiThuri hui raat mein bhi
garajti barasti si barsat mein bhi
magar bu-e-mafhum in mein nahin thi
bahut roz se sochti hun
ki in sare masnui lafzon ko ab main
lughat se khurach dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.