luhaar jaanta nahin
hamāre gaañv kā luhār ab darāñtiyāñ banā ke bechtā nahīñ
vo jāntā hai fasl kāTne kā vaqt kaT gayā saroñ ko kāTne ke shaġhl meñ
vo jāntā hai bāñjh ho ga.ī zamīn jab se le ga.e naqāb-posh gaañv ke maveshiyoñ ko shahr meñ
jo barmalā sadā.eñ de ke ḳhushk ḳhuun bechte haiñ be-yaqīn bastiyoñ ke darmiyāñ
udaas dil ḳhamosh aur be-zabāñ kabāḌ ke hisār meñ siyāh ko.eloñ se guftugū
tamām din guzārtā hai sochtā hai koī baat ruuh ke sarāb meñ
kuredtā hai ḳhaak aur DhūñDtā hai chup kī vādiyoñ se surḳh aag par vo zarb
jis ke shor se luhār kī samā.ateñ qarīb thiiñ
bajā.e aag kī lapak ke sard raakh uḌ rahī hai dhūñknī ke muñh se
raakh jis ko phāñktī hai jhoñpaḌī kī ḳhastagī
siyāh chhat ke nā-tavāñ sutūn apne āñkaḌoñ samet pīTte haiñ sar
harārtoñ kī bhiik māñgte haiñ jhoñpaḌī ke baam o dar
jo bhaTTiyoñ kī aag ke harīs the
dhueñ ke dā.eroñ se khīñchte the zindagī
magar ajiib baat hai hamāre gaañv kā luhār jāntā nahīñ
vo jāntā nahīñ ki baḌh ga.ī haiñ saḳht aur tez dhaar ḳhanjaroñ kī qīmateñ
so jald bhaTTiyoñ kā peT bhar de surḳh aag se
hamare ganw ka luhaar ab darantiyan bana ke bechta nahin
wo jaanta hai fasl kaTne ka waqt kaT gaya saron ko kaTne ke shaghl mein
wo jaanta hai banjh ho gai zamin jab se le gae naqab-posh ganw ke maweshiyon ko shahr mein
jo barmala sadaen de ke KHushk KHun bechte hain be-yaqin bastiyon ke darmiyan
udas dil KHamosh aur be-zaban kabaD ke hisar mein siyah koelon se guftugu
tamam din guzarta hai sochta hai koi baat ruh ke sarab mein
kuredta hai KHak aur DhunDta hai chup ki wadiyon se surKH aag par wo zarb
jis ke shor se luhaar ki samaaten qarib thin
bajae aag ki lapak ke sard rakh uD rahi hai dhunkni ke munh se
rakh jis ko phankti hai jhonpaDi ki KHastagi
siyah chhat ke na-tawan sutun apne aankaDon samet piTte hain sar
hararton ki bhik mangte hain jhonpaDi ke baam o dar
jo bhaTTiyon ki aag ke haris the
dhuen ke daeron se khinchte the zindagi
magar ajib baat hai hamare ganw ka luhaar jaanta nahin
wo jaanta nahin ki baDh gai hain saKHt aur tez dhaar KHanjaron ki qimaten
so jald bhaTTiyon ka peT bhar de surKH aag se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.