maal
maiñ ne jab bhī palaT ke dekhā hai
dhund kuchh ā.īne se chhūTī hai
aks kuchh aa.ine meñ ubhre haiñ
maiñ ne dekhā hai ik shikasta par
zindagī se tamām-tar aarī
jaise maazī ho! ahd-e-rafta ho
ek nā-sufta gauhar-e-shaffāf
jaise ik āftāb-e-tāza ho
roz-e-ā.inda, roz-e-fardā ho
ek shāhīn-e-māvarā se pare
ek nikhrī huī fazā-e-basīt
haal ho jaise ahd-e-hāzir ho!
dhund phir ā.īne se lipTī hai
aks dhundlā sā maiñ ne dekhā hai
pech-dar-pech jaal makḌī kaa!
ujlā ujlā saa, vo rupahlā sā
jis ke tāroñ meñ maut pinhāñ hai
ek makkhī hai nīm-jāñ majbūr
jaane kis daur kā ye ḳhāka hai!
jaane kis daur ke tasavvur se
dil mirā kaañp kaañp jaatā hai
main ne jab bhi palaT ke dekha hai
dhund kuchh aaine se chhuTi hai
aks kuchh aaine mein ubhre hain
main ne dekha hai ek shikasta par
zindagi se tamam-tar aari
jaise mazi ho! ahd-e-rafta ho
ek na-sufta gauhar-e-shaffaf
jaise ek aaftab-e-taza ho
roz-e-ainda, roz-e-farda ho
ek shahin-e-mawara se pare
ek nikhri hui faza-e-basit
haal ho jaise ahd-e-hazir ho!
dhund phir aaine se lipTi hai
aks dhundla sa main ne dekha hai
pech-dar-pech jal makDi ka!
ujla ujla sa, wo rupahla sa
jis ke taron mein maut pinhan hai
ek makkhi hai nim-jaan majbur
jaane kis daur ka ye KHaka hai!
jaane kis daur ke tasawwur se
dil mera kanp kanp jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.