maani ki talash mein marte lafz
sehan meñ phailī hai
talḳh-tar raat kī raanī kī mahak
kamra-hairat meñ
ḳhvāb kī shahzādī
baal bikhrā.e mire siine par
kab se ik ḳhvāb-e-abad meñ gum hai
lams kī āñkhoñ meñ
qaus-dar-qaus tilismāt ajab zinda haiñ
jhaḌ chukā hai lekin
jism kī shāḳh se chehre kā phuul
ziist ke jauhaḌ meñ
ḳhvāhish-e-dariyā ke
ek amr lamhe ko
sochne kī ye sazā kuchh kam hai
ki jalī harfoñ meñ
likh chukā hai koī
tīra-o-tār azal ke kisī pas-e-manzar meñ
jashn-e-nauroz pe māmūl kī ik maut
hamārī ḳhātir
sehan mein phaili hai
talKH-tar raat ki rani ki mahak
kamra-hairat mein
KHwab ki shahzadi
baal bikhrae mere sine par
kab se ek KHwab-e-abad mein gum hai
lams ki aankhon mein
qaus-dar-qaus tilismat ajab zinda hain
jhaD chuka hai lekin
jism ki shaKH se chehre ka phul
zist ke jauhaD mein
KHwahish-e-dariya ke
ek amr lamhe ko
sochne ki ye saza kuchh kam hai
ki jali harfon mein
likh chuka hai koi
tira-o-tar azal ke kisi pas-e-manzar mein
jashn-e-nauroz pe mamul ki ek maut
hamari KHatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.