mabud se
ibtidā ho ga.ī maut ke giit kī
hai havāoñ meñ dhun dukh ke sañgīt kī
shahr dikhne lagā hai bayābān sā
raat sunsān sī din pareshān sā
saarī mānūs galiyāñ haiñ anjān sī
zindagī chand lamhoñ kī mehmān sī
mere ma.abūd sāñseñ badan ke liye
ek zanjīr man ke hiran ke liye
de chhanākā koī ḳhāmushī ke liye
koī jumla kisī kī hañsī ke liye
zard hoñToñ pe koī duā bhej de
dostoñ ke liye qahqaha bhej de
bhej de adh-jagī āñkhoñ meñ ḳhvāb ko
lamhe bhar kā sukūñ mere ahbāb ko
thoḌā nān-o-namak har shikam ke liye
thoḌī muskān har chashm-e-nam ke liye
ai ḳhudā merī sun le ḳhudā ke liye
koī ta.avīz de is balā ke liye
ibtida ho gai maut ke git ki
hai hawaon mein dhun dukh ke sangit ki
shahr dikhne laga hai bayaban sa
raat sunsan si din pareshan sa
sari manus galiyan hain anjaan si
zindagi chand lamhon ki mehman si
mere mabud sansen badan ke liye
ek zanjir man ke hiran ke liye
de chhanaka koi KHamushi ke liye
koi jumla kisi ki hansi ke liye
zard honTon pe koi dua bhej de
doston ke liye qahqaha bhej de
bhej de adh-jagi aankhon mein KHwab ko
lamhe bhar ka sukun mere ahbab ko
thoDa nan-o-namak har shikam ke liye
thoDi muskan har chashm-e-nam ke liye
ai KHuda meri sun le KHuda ke liye
koi tawiz de is bala ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.