madar-e-hind
rū-kash-e-charḳh yahī gosha-e-dakan hai yahī
chashm-e-aġhyār meñ ā.īna-e-hairat hai yahī
mehrbānī pe hai vo qibla-e-hājāt bahut
us ne phailā.e haiñ qudrat ke 'atiyyāt bahut
zar luTāne ko kalī gul kī nikaltī hai yahāñ
hai ye mash.hūr zamīñ sonā ugaltī hai yahāñ
ḳhush farishte bhī haiñ zarroñ kā tamāshā kar ke
pheñk dete haiñ yahāñ chāñd ko chūrā kar ke
zāhirī āñkhoñ meñ pinhāñ haiñ balā ke jalve
pattharoñ meñ nazar aate haiñ ḳhudā ke jalve
saaz kā lutf hai har saañs meñ sunte haiñ rabāb
dil ke paimānoñ meñ miltī hai haqīqat kī sharāb
na sharāfat kī kamī aur na daulat kī kamī
hai sapūtoñ meñ magar maañ kī mohabbat kī kamī
bādal adbār ke haiñ un ke saroñ par chhā.e
marnā aa.e na unheñ aur na jiinā aa.e
tang-dastī bhī hai faaqe bhī haiñ bekārī bhī
aur amrāz bhī haiñ aql kī bīmārī bhī
girte jaate haiñ sañbhalne kī koī aas nahīñ
go safar duur kā darpesh hai kuchh paas nahīñ
ek hangāme pe mauqūf na paikār kareñ
ab zarūrat hai ki har kaam meñ īsār kareñ
ru-kash-e-charKH yahi gosha-e-dakan hai yahi
chashm-e-aghyar mein aaina-e-hairat hai yahi
mehrbani pe hai wo qibla-e-hajat bahut
us ne phailae hain qudrat ke 'atiyyat bahut
zar luTane ko kali gul ki nikalti hai yahan
hai ye mashhur zamin sona ugalti hai yahan
KHush farishte bhi hain zarron ka tamasha kar ke
phenk dete hain yahan chand ko chura kar ke
zahiri aankhon mein pinhan hain bala ke jalwe
pattharon mein nazar aate hain KHuda ke jalwe
saz ka lutf hai har sans mein sunte hain rabab
dil ke paimanon mein milti hai haqiqat ki sharab
na sharafat ki kami aur na daulat ki kami
hai saputon mein magar man ki mohabbat ki kami
baadal adbar ke hain un ke saron par chhae
marna aae na unhen aur na jina aae
tang-dasti bhi hai faqe bhi hain bekari bhi
aur amraaz bhi hain aql ki bimari bhi
girte jate hain sanbhalne ki koi aas nahin
go safar dur ka darpesh hai kuchh pas nahin
ek hangame pe mauquf na paikar karen
ab zarurat hai ki har kaam mein isar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.