madum hoti KHushbu
ab kabhī achānak sāmnā hotā hai
to khanaktī mahaktī
yādoñ ke dhundalke
vo saare chumban
vo saare lams
vo saarī ḳhushbueñ
bikharne lagtī haiñ
ham hairat-zada ek dūsre ko dekhte haiñ
ki ab kyā baaqī bachā hai
us be-nām shanāḳht ke
jo ham
donoñ ke beach se
dhīre dhīre
ma.adūm hotī jā rahī hai
ab kabhi achanak samna hota hai
to khanakti mahakti
yaadon ke dhundalke
wo sare chumban
wo sare lams
wo sari KHushbuen
bikharne lagti hain
hum hairat-zada ek dusre ko dekhte hain
ki ab kya baqi bacha hai
us be-nam shanaKHt ke
jo hum
donon ke beach se
dhire dhire
madum hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.