mae ni
kitnī achchhī thī vo zamīñ maa.e
jahāñ tum mere saath rahtī thī
bistar par rātoñ ko tum mujh ko
saif-ul-mulūk aur
pariyoñ kī koī kahānī sunātī thī
āsmān meñ puurā chāñd dekh kar
mujhe tāmchīnī kī thālī meñ
tumhārī roTī yaad aatī thī
machal kar maiñ jab roTī banāne kī
tum se zid kartī thī
to hañs kar Tāltī mujh ko
tum ye kahtī thiiñ
pahle baḌī to ho jaao
nuur taḌke sūraj kī kirnoñ meñ
tumhārī muskurāhaT jagmagātī thī
mujhe bakriyoñ ke pīchhe bhej kar
jab apne kāmoñ meñ
tum mujh ko bhuul jaatī thī
to vaadī kī narm ghaas par phudakte
havā se bāteñ kartī thī
titliyoñ ko haule se pakaḌ kar
hamesha chhoḌ detī thī
tum ne kahā thā maa.e kisī ko dukh na pahchānā
ki tum achchhī bachchī ho
pariyāñ chiḌiyoñ ke bhes meñ aa kar
daana chugeñgī merī hathelī se
jab koī chiḌiyā chahchahātī thī
maiñ khilkhilā kar zor se hañstī
magar ammī ab mujh ko
zamīñ kī taraf dekh kar
Dar sā lagtā hai
vo kaun the maa.e
jinhoñ ne merī bakriyoñ charāgāhoñ se chhīn kar mujh ko
añdheroñ ke havāle kar diyā maa.e
aur vahāñ se bhejte vaqt mujhe tum se
milne bhī na diyā
vo insān to na the maa.e
magar vo
insānoñ jaise dikhte the
maiñ to achchhī bachchī thī
tum be-shak pūchh lenā
chiḌiyoñ se titlī se
havāoñ se jhiil kināroñ
kañval ke phūloñ se
sarsarāte naag kab aa.e
tum pūchhnā is vaadī se pahāḌoñ se
merī bakriyoñ se aur abbā se
mujhe to is dhartī se pyaar thā kitnā
maiñ tumhārī tarah roTī banātī
jab baḌī hotī
Dhak kar āñchal se sar ko
pyaar se khānā khilātī
bas itnā hī to ḳhvāb thā merā
magar un logoñ ne
mujhe chīrā thā maa.e
aarī se bijlī ke nañge tāroñ muta.affin sāñsoñ se
tumheñ yaad hai maa.e
mujhe dauḌte bhāgte
jab kabhī choT lagtī thī
maiñ dauḌ kar aatī thī
tumheñ apnī choTeñ dikhātī thī
duā paḌh kar tum phūñk detī thī
magar us din na aa.iiñ tum
maiñ kitnā taḌpī thī
duāoñ ke sab hisār kyoñ TuuT ga.e maa.e
tum ne kab batāyā thā
koī dard aisā bhī hotā hai
jo maut ban kar Dor kaaT de sāñsoñ kī
aur nāsūr ban kar
tumhāre dil meñ Thahar jaa.e
kitni achchhi thi wo zamin mae
jahan tum mere sath rahti thi
bistar par raaton ko tum mujh ko
saif-ul-muluk aur
pariyon ki koi kahani sunati thi
aasman mein pura chand dekh kar
mujhe tamchini ki thaali mein
tumhaari roTi yaad aati thi
machal kar main jab roTi banane ki
tum se zid karti thi
to hans kar Talti mujh ko
tum ye kahti thin
pahle baDi to ho jao
nur taDke suraj ki kirnon mein
tumhaari muskurahaT jagmagati thi
mujhe bakriyon ke pichhe bhej kar
jab apne kaamon mein
tum mujh ko bhul jati thi
to wadi ki narm ghas par phudakte
hawa se baaten karti thi
titliyon ko haule se pakaD kar
hamesha chhoD deti thi
tum ne kaha tha mae kisi ko dukh na pahchana
ki tum achchhi bachchi ho
pariyan chiDiyon ke bhes mein aa kar
dana chugengi meri hatheli se
jab koi chiDiya chahchahati thi
main khilkhila kar zor se hansti
magar ammi ab mujh ko
zamin ki taraf dekh kar
Dar sa lagta hai
wo kaun the mae
jinhon ne meri bakriyon charagahon se chhin kar mujh ko
andheron ke hawale kar diya mae
aur wahan se bhejte waqt mujhe tum se
milne bhi na diya
wo insan to na the mae
magar wo
insanon jaise dikhte the
main to achchhi bachchi thi
tum be-shak puchh lena
chiDiyon se titli se
hawaon se jhil kinaron
kanwal ke phulon se
sarsaraate nag kab aae
tum puchhna is wadi se pahaDon se
meri bakriyon se aur abba se
mujhe to is dharti se pyar tha kitna
main tumhaari tarah roTi banati
jab baDi hoti
Dhak kar aanchal se sar ko
pyar se khana khilati
bas itna hi to KHwab tha mera
magar un logon ne
mujhe chira tha mae
aari se bijli ke nange taron mutaffin sanson se
tumhein yaad hai mae
mujhe dauDte bhagte
jab kabhi choT lagti thi
main dauD kar aati thi
tumhein apni choTen dikhati thi
dua paDh kar tum phunk deti thi
magar us din na aain tum
main kitna taDpi thi
duaon ke sab hisar kyon TuT gae mae
tum ne kab bataya tha
koi dard aisa bhi hota hai
jo maut ban kar Dor kaT de sanson ki
aur nasur ban kar
tumhaare dil mein Thahar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.