maen buDhi hona bhul chuki hain
ūñchī pīḌhī par baiThī
bartāvā kartī
chaukas āñkheñ
ho ke jaisī bhuuk se laḌtī
roTī toḌte hāthoñ ko tahzīb sikhātī
chuske letī jībhoñ ko ik had meñ rakhtī
pyaas bujhāne ke ādāb batātī āñkheñ
bāchhoñ se bahtī ḳhvāhish ko poñchhne vaalī
nazroñ meñ halkore lete lālach ko chimTe meñ bhar ke
jaltī aag meñ jhoñkne vaalī
nanhe hāthoñ se chipkī chhīnā-jhapTī ko
mamtā ke paanī se dhone vaalī āñkheñ
kis kājal ko pyārī ho ga.iiñ
bachche mil kar khānā-pīnā bhuul ga.e haiñ
unchi piDhi par baiThi
bartawa karti
chaukas aankhen
ho ke jaisi bhuk se laDti
roTi toDte hathon ko tahzib sikhati
chuske leti jibhon ko ek had mein rakhti
pyas bujhane ke aadab batati aankhen
bachhon se bahti KHwahish ko ponchhne wali
nazron mein halkore lete lalach ko chimTe mein bhar ke
jalti aag mein jhonkne wali
nanhe hathon se chipki chhina-jhapTi ko
mamta ke pani se dhone wali aankhen
kis kajal ko pyari ho gain
bachche mil kar khana-pina bhul gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.