maf kijiye ga KHan sahib
jaane kin rahguzāroñ se
dauḌe chale aate haiñ
lāsheñ bhanbhoḌte, bū sūñghte
baiTh ga.e haiñ log
ki baiThe huoñ ko kāTte nahīñ!
vīrānī ke aqab meñ
rāstoñ aur shāh-rāhoñ ke kohrām
aur jaltī-bujhtī raushniyoñ ke ta.āqub meñ
phaTe hue halaq ke saath
gāḌiyoñ ke saath saath bhāgte haiñ
dīvār par
Taañg uThā chukne ke ba.ad
muaaf kījiyegā
fatah-alī-ḳhāñ sāhib!
aap kā alāp, kānoñ meñ jam gayā hai
murkiyāñ TūTtī haiñ
ham ruḳhsat ho rahe haiñ
jiine ke javāz se dast-bardār
paTāḳhoñ se patlūneñ bachāte
phudakte phirte haiñ
hamārī qaumī mausīqī
kāfūr kī mahak se bhī ḳhālī hai
saḌāñd hai chahār jānib
aur bhūñkne kī āvāzeñ
be-sur, be-tāl
jaan kī amaan pā.ūñ
to sīdhā aap hī kī taraf ā.ūñgā!
jaane kin rahguzaron se
dauDe chale aate hain
lashen bhanbhoDte, bu sunghte
baiTh gae hain log
ki baiThe huon ko kaTte nahin!
virani ke aqab mein
raston aur shah-rahon ke kohram
aur jalti-bujhti raushniyon ke taaqub mein
phaTe hue halaq ke sath
gaDiyon ke sath sath bhagte hain
diwar par
Tang uTha chukne ke baad
muaf kijiyega
fatah-ali-KHan sahib!
aap ka alap, kanon mein jam gaya hai
murkiyan TuTti hain
hum ruKHsat ho rahe hain
jine ke jawaz se dast-bardar
paTaKHon se patlunen bachate
phudakte phirte hain
hamari qaumi mausiqi
kafur ki mahak se bhi KHali hai
saDand hai chahaar jaanib
aur bhunkne ki aawazen
be-sur, be-tal
jaan ki aman paun
to sidha aap hi ki taraf aaunga!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.