mahaul ki parchhaiyan
ye dhuñdalkā ye bujhte diyoñ kā dhuāñ
phuul se dil pe zaḳhmoñ ke gahre nishāñ
ye chaman ye bahāroñ kā ḳhūnī kafan
vasl kī raat meñ jaise beva dul.han
āñchaloñ kī ye uḌtī huī dhajjiyāñ
narm hoñToñ pe sūkhī huī papḌiyāñ
kab talak ye musībat ye ranj-o-mehan
kab talak tauq-o-zanjīr-o-dār-o-rasan
nargisī aañkh insāñ kī dhañstī huī
halq meñ har-nafas saañs phañstī huī
ham-nashīnoñ uTho maut ko Tok do
zulm ke āhanī haath ko rok do
ye dhundalka ye bujhte diyon ka dhuan
phul se dil pe zaKHmon ke gahre nishan
ye chaman ye bahaaron ka KHuni kafan
wasl ki raat mein jaise bewa dulhan
aanchalon ki ye uDti hui dhajjiyan
narm honTon pe sukhi hui papDiyan
kab talak ye musibat ye ranj-o-mehan
kab talak tauq-o-zanjir-o-dar-o-rasan
nargisi aankh insan ki dhansti hui
halq mein har-nafas sans phansti hui
ham-nashinon uTho maut ko Tok do
zulm ke aahani hath ko rok do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.