mahaul
ab sitāroñ meñ javānī nahīñ raqsāñ koī
chāñd ke nuur meñ naġhmāt ke sailāb nahīñ
dil meñ baaqī nahīñ umDā huā tūfāñ koī
ruuh ab husn uchak lene ko betāb nahīñ
ab farozāñ sī nahīñ qaus-e-quzah kī rāheñ
inhī rāhoñ se ufuq paar se ghuum aate the
muntazir ab nahīñ fitrat kī gulābī bāheñ
ham jinheñ jā ke shafaq-zār se chuum aate the
ab ghaTāoñ meñ nahīñ hausle rindāna se
ab fazāoñ meñ haiñ valvale dīvāna se
ruuh ehsās kī talḳhī se bujhī jaatī hai
aise māhaul ke zindāñ se rihā kar mujh ko
vahī pahle se hasīñ ḳhvāb atā kar mujh ko
ab sitaron mein jawani nahin raqsan koi
chand ke nur mein naghmat ke sailab nahin
dil mein baqi nahin umDa hua tufan koi
ruh ab husn uchak lene ko betab nahin
ab farozan si nahin qaus-e-quzah ki rahen
inhi rahon se ufuq par se ghum aate the
muntazir ab nahin fitrat ki gulabi bahen
hum jinhen ja ke shafaq-zar se chum aate the
ab ghaTaon mein nahin hausle rindana se
ab fazaon mein hain walwale diwana se
ruh ehsas ki talKHi se bujhi jati hai
aise mahaul ke zindan se riha kar mujh ko
wahi pahle se hasin KHwab ata kar mujh ko
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 1051)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.