mal-road se guzarte hue ek nazm
us raste par do jismoñ kā ik saaya thaa!
aur do rūhoñ kā ik maslak!
guuñj rahā thā us raste par harf kā pahlā sannāTā
dhaḌkan kī tasbīh musalsal ism anokhe paḌhtī thī
rusvā.ī kī shoḳh havā.eñ bebākī se raqsāñ thiiñ
us raste par gahre bādal dhuup kiran se laḌte the
ḳhvāb ke panchhī an-jānī samtoñ meñ uḌāneñ bharte the!
phūloñ ne ḳhushbū kā mantar phūñk diyā thā sīnoñ par!
us raste par tum the (shāyad ḳhud se nā-vāqif)
us raste par maiñ thii! aur maiñ tum meñ shāmil thī
zād-e-safar meñ ek thakan thii, ek dukhan aur ek yaqīñ!!
har qalb sarā.e hotā hai aur ne hī guzargah har rasta
kuchh rastoñ se lauT bhī jā.eñ, duur nahīñ jā sakte ham
kuchh manzar ban jaate haiñ nādīda hissa āñkhoñ kā
kuchh lamhoñ kī qaid hamesha dil ko kāTnī paḌtī hai
us raste par do jismon ka ek saya tha!
aur do ruhon ka ek maslak!
gunj raha tha us raste par harf ka pahla sannaTa
dhaDkan ki tasbih musalsal ism anokhe paDhti thi
ruswai ki shoKH hawaen bebaki se raqsan thin
us raste par gahre baadal dhup kiran se laDte the
KHwab ke panchhi an-jaani samton mein uDanen bharte the!
phulon ne KHushbu ka mantar phunk diya tha sinon par!
us raste par tum the (shayad KHud se na-waqif)
us raste par main thi! aur main tum mein shamil thi
zad-e-safar mein ek thakan thi, ek dukhan aur ek yaqin!!
har qalb sarae hota hai aur ne hi guzargah har rasta
kuchh raston se lauT bhi jaen, dur nahin ja sakte hum
kuchh manzar ban jate hain nadida hissa aankhon ka
kuchh lamhon ki qaid hamesha dil ko kaTni paDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.